Zaroori Tha Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

 Zaroori Tha Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan


Zaroori Tha is a heart touching song from the album ‘ Back 2 Love’, sung by Rahat Fateh Ali Khan. The lyrics of zaroori is written by Khalil-Ur-Rehman Ali Khan, music by Sahir Ali Bagga.


Zaroori Tha Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

Song- Zaroori Tha
Album- Back 2 Love
Singer- Rahat Fateh Ali Khan
Lyrics- Khalil-Ur-Rehman Qamar
Music- Sahir Ali Bagga


Zaroori Tha full song Lyrics


Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge

Tune jab aakhiri khat mera jalaya hoga

Tune jab phool kitabon se nikaale honge

Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga

Teri aankhon ke dariya ka

Utarna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi

Bichadna bhi zaroori tha

Zuroori tha ki hum dono

Tawaaf-e-aarzoo karte

Magar phir aarzu’on ka

Bikharna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Bataao yaad hai tumko

Woh jab dil ko churaya tha

Churaai cheez ko tumne

Khuda ka ghar banaya tha

Woh jab kehte the

Mera naam tum tasbih mein padhte ho

Mohabbat ki Namaazo ko

Qara karne se darte ho

Magar ab yaad aata hai


Woh baatein thi mahaz baatein

Kahin baaton hi baaton mein

Mukarna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka

Utarna bhi zaroori tha

Wahi hai sooratein apni


Wahi main hoon, wahi tum ho

Magar khoya hua hoon main

Magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein dagha ki thi

So kaafir the so kaafir hain

Mili hain manzilein phir bhi

Musaafir the, musaafir hain

Tere dil ke nikaale hum

Kahaan bhatke, kahaan pahunche

Magar bhatke toh yaad aaya

Bhatakna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi

Bichhadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ki hum dono

Tawaaf-e-aarzoo karte

Magar phir aarzu’on ka

Bikharna bhi zaroori tha

Teri aankhon ke dariya ka

Utarna bhi zaroori tha




Post a Comment

0 Comments